Kya main gair tha, Apne he desh ki sarhad main tha
fir tumhe mujhse kaisa bair tha!!
Khush tha main apne jahaan main, Vadi-e-Kashmir ki panaah main
Saara chaman tumhara he tou tha, main mutthi bhar he tha
Fir bhe tumko nahi manzoor tha
vatan se be-vatan hua
Apno ke khoon main latpath, ghar chodne ko majboor hua
Aisa kya cheen liya tha maine tumse
Jo main ye manzar dekhne ko majboor hua!!
Behen ka maslaa aanchal, maa ki ujdi kokh
Bhai ka katl-e-aam, baap ke aankhon main khauf
Is desh ko ye bayaan karne main nikali zindagi
par kya tujhe iska ratti bhar bhe afsos hua???
By : Pankaj Pandit
Excellent composition, as always bro! Can feel the pain, in the wordings.