Maine koshish ki khud ko uthane main
Tune taakat laga di mujhko neecha dikhane main
Main mere Hallaton se ladta raha
Tu mauka parast ban kar, mere raaste main adta raha
Socha tha kuch mere aas paas hain
Shayad ab vo mere khaas hain
Par kambakht zindagi sab kuch sikha jaati hai
Jin par kiya bharosa, unki Rishton ki saasein pehle dum tod jaati hain
Falsafa zindagi ka har baar yahi yaad dilata hai..
Kuch Rishton ke alwa, har koi saath chor jaata hai
Ae mere mohsin ek baat yaad rakhna hamesha
Jo tere pareshaani main apna bura waqt bhool jaaye
Wo aksar arsh se farsh par...dhool ban kar fanaah ho jaata hai
Neki kar dariya main daal
Aise bagairat logon ko , ae aasmani taqat
Meri zindagi se bahar nikaal
Wow, as always..
A different one this time though, but yet stupendous and astonishing.